KHushbu-e-dard Ke Baghair Rang-e-jamal Ke Baghair
KHushbu-e-dard ke baghair rang-e-jamal ke baghair
kaise guzar gai hayat hijr-o-visal ke baghair
in mein tera hi rang hai in mein tera hi rup hai
phulon ki kya misal dun teri misal ke baghair
meri talab ko paDh liya us ki nigah-e-tez ne
sau sau hain uzr us ke pas mere sawal ke baghair
tu mera hausla to dekh phir hun usi ke ru-ba-ru
tir-o-tabar hain us ke pas aur main Dhaal ke baghair
baDh ja tu mujh ko raund kar manzil-e-nau ki le KHabar
tera uruj hai muhaal mere zawal ke baghair
'pashi' wo dil ka shahr ho dasht ho ya wo bahr ho
raushan nahin koi jagah un ke jamal ke baghair
(414) Peoples Rate This