Hue Hain Band Dishaon Ke Sare Raste Aa
hue hain band dishaon ke sare raste aa
andhera chhane laga lauT kar parinde aa
main teri sari tamazat ko jazb kar lunga
tu aaftab kabhi mere dil mein bujhne aa
kabhi dikha de wo manzar jo main ne dekhe nahin
kabhi to nind mein ai KHwab ke farishte aa
yahan to kab se andheron mein gharq hai duniya
idhar jo aa to sitaron ki shaal oDhe aa
na chupke chupke sulag ji ko apne halka kar
tujhe ye kaun sa dukh hai kabhi batane aa
baDa sukun milega tujhe yahan aa kar
jo ho sake to kabhi mere dil mein rahne aa
dahakta shoala sa main ek dasht hun 'pashi'
agar ghaTa hai tu sawan ki to barasne aa
(444) Peoples Rate This