Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a34dac94f5fdc393d10d84f5a2021f58, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hain Sare Inkishaf Apne Hain Sare Mumkinat Apne - Kumar Pashi Poetry In English - Darsaal

Hain Sare Inkishaf Apne Hain Sare Mumkinat Apne

hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne

hum is duniya ka sara ilm le jaenge sat apne

chamak waisi na mathe par damak waisi na chehre par

sitare kis ke ghar jaane luTa aai hai raat apne

na hogi dilkashi duniya mein ek din wo bhi aaega

ki sare raaz ugal degi kisi din kaenat apne

nahin gar dekh sakti maut se laDte hue mujh ko

to phir ai zindagi le ja tu sare iltifat apne

khula hai umr ki sham-e-hazin mein raaz ye 'pashi'

ki har dam maut ko bhi sath rakhti hai hayat apne

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Sare Inkishaf Apne Hain Sare Mumkinat Apne In English By Famous Poet Kumar Pashi. Hain Sare Inkishaf Apne Hain Sare Mumkinat Apne is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Hain Sare Inkishaf Apne Hain Sare Mumkinat Apne for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Hain Sare Inkishaf Apne Hain Sare Mumkinat Apne in PDF.