Raushni Ke Saz-o-saman DhunDhta Phirta Tha Main
raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main
un dinon ek chand ki tamir mein uljha tha main
aaKHiri manzar hi shab ka hath lag paya mere
kal teri mahfil mein thoDa der se pahuncha tha main
us purane ghar ki wo diwar ab ke gir gai
han wahi diwar jis par ab talak likkha tha main
us ki bahon se nikal aaya bhi tha mera badan
aur us ke sine mein ab tak kahin lipTa tha main
umr-bhar ki mushkilen hans kar ke main ne par ki
ek KHushi mujh ko mili thi bas tabhi roya tha main
wo mere TuTe hue kirchon ko kab tak joDta
thoDa thoDa kar ke sare ghar mein hi bikhra tha main
puchhiye mat kya sukun-e-mustaqil tha qabr mein
muddaton ke baad aisi nind mein soya tha main
(443) Peoples Rate This