Rah-e-ishq Mein Itne To Bedar The Hum
rah-e-ishq mein itne to bedar the hum
hijr aaega pahle hi tayyar the hum
shahr base the milon tak us ki jaanib
ek musalsal jangal tha jis par the hum
hum pe rang-o-roghan kya taswiren kya
ghar ke pichhle hisse ki diwar the hum
sham se koi bhiD utarti jati thi
ek kamre ke andar bhi bazar the hum
ek kahani KHud hi hum se aa lipTi
kya malum ki kab is ke kirdar the
aaj hamare matam mein ye charcha tha
ek muddat se tanha the bimar the hum
kya ab ishq mein waisi wahshat mumkin hai
jaise pagal ishq mein pahli bar the hum
(464) Peoples Rate This