Munh Pherta Nahin Hai Kisi Kaam Se Badan

munh pherta nahin hai kisi kaam se badan

bikhra paDa hai aaj magar sham se badan

bhula nahin hai ab bhi tera lams-e-aKHiri

lo phir sihar uTha hai tere nam se badan

muddat mein jis tarah koi bichhDa hua mile

aise lipaT gaya hai dar-o-baam se badan

chhilke to bund bund mere jism par gire

chipka liya hai main ne tere jam se badan

thoDa to chalne phirne de mujh ko mere hakim

thak sa gaya hai rose ke aaram se badan

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munh Pherta Nahin Hai Kisi Kaam Se Badan In English By Famous Poet Kuldeep Kumar. Munh Pherta Nahin Hai Kisi Kaam Se Badan is written by Kuldeep Kumar. Read famous Poem Munh Pherta Nahin Hai Kisi Kaam Se Badan for youth and Student by Kuldeep Kumar. Free Download Munh Pherta Nahin Hai Kisi Kaam Se Badan in PDF.