Nuqton Ki Kashmakash
qafiyon se koi chhuTkara dilae
ban gai taklif-e-jaan mujh ko radif
bahr hai har waqt dil mein maujzan
(qafiye ki aazmaish se guzar
qafiya-paima na ban
qafiye ne aa dabocha qafiya-paima na ho)
khurdure-pan ko tarasti hai zaban
kyun manjhi hain is qadar nazmen meri
kyun saji hai is qadar meri ghazal
(qafiye ko rok phir aane laga)
zehn hai majnun-e-adab-e-suKHan
dil purane ras ka rasiya hai abhi
nikhat-e-mazi ka basiya hai abhi
(qafiya phir aa gaya majbur hun
qafiye ko rok phir aane laga)
sochta hun bahr ki maujon mein jakDa hun abhi
qafiya to KHair kafi ruk gaya
bahr to TuTi nahin
bahr ek bahr-e-basit
bahr ek dew-e-tanomand-o-muhit
is qadar jiddat se kyun hai kad mujhe
zehn o dil hain kyun riwayat ke asir
(289) Peoples Rate This