Kaj-rawi Ka Ishtihaar

main to hun shaer ki ruh

shaer ki KHasiyyat

ek KHushbu ek tilism

aur mera beTa ki hai shaer ka jism

shairon ki KHaslaton ka aaina

kaj-rawi ka ishtihaar

hai sameTe apne andar aib ki har ek qism

na-samajh aawara-o-bekar shaida-e-qimar

aashnaon ka musahib kam-ayar

harza-go baada-gusar

kash main hota sharabi aur kababi aur wo nek-o-shiar

ba-safa be-aib sa meri tarah

log phir mujh ko samajhte shaer-e-rangin-KHayal-o-ba-kamal

aur mera beTa bhi hota KHush-KHisal

dil na hota pur-malal

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaj-rawi Ka Ishtihaar In English By Famous Poet Krishna Mohan. Kaj-rawi Ka Ishtihaar is written by Krishna Mohan. Read famous Poem Kaj-rawi Ka Ishtihaar for youth and Student by Krishna Mohan. Free Download Kaj-rawi Ka Ishtihaar in PDF.