Chahaton Ka Jahan Hai Urdu
chahaton ka jahan hai urdu
rahaton ka nishan hai urdu
ishq ka e'tibar aur waqar
husn ki aan-ban hai urdu
dil-faza zau-kada sabahat ka
aur malahat ki kan hai urdu
nasr ka hai KHiram-e-KHush-hangam
shairi ki uDan hai urdu
zinda hai apna zauq-o-shauq is se
aarzuon ki jaan hai urdu
lutf hasti ka rang masti ka
KHushnuma karwan hai urdu
zikr-e-araish-e-KHam-e-kakul
kaif-e-hindostan hai urdu
daftar-e-ittihad-o-yak-jehti
pyar ki dastan hai urdu
ekta hai anekta mein bhi
dost-dari ka man hai urdu
'ghaalib'-o-'mir' is ke shaida the
jin ki ruh-e-rawan hai urdu
'atish' o 'momin' o 'nazir' o 'jigar'
jin ki rangin zaban hai urdu
is ke aashiq 'nasim' aur chakbast
jin ke jazbon ki shan shan hai urdu
dost is ke 'surur' aur 'sarshaar'
is liye shadman hai urdu
dard-mand is ke 'premchand' rahe
jin ke bais jawan hai urdu
is ke mushtaq 'mulla' aur 'firaq'
jin ke dil ka bayan hai urdu
nara-zan 'josh' ka KHarosh is mein
josh ki tarjuman hai urdu
'faiz' o 'iqbaal' o kirshn-chandar se
wusat-e-be-karan hai urdu
dhum 'mahrum' ki hui is mein
aur 'munawar' ki aan hai urdu
'rashid' o 'mira-ji' ki albeli
shoKH-ada raazdan hai urdu
fitnat-o-fan ki daulat-e-bedar
'krishn-mohan' ki jaan hai urdu
(492) Peoples Rate This