Andar Ka Chamkila Hira

kitne dinon tak

raja ke darbar mein ek sadhu aata tha

jo us ko rose ek phal de jata tha

raja be-his be-parwa sa

is phal ko maKHzan ke ek kone mein phenk diya karta tha

ek din jab wo sadhu aaya

raja ke bandar ne us se wo phal chhina

aur jo khaya to us mein se

ek chamakta hira nikla

raja hairan sadhu ghaeb

raja phir maKHzan ke us kone mein pahuncha

aur wahan dekha hiron ka Dher laga tha

aur phal ke chhilke bikhre the

kaun tha wo sadhu aur aaj kahan ghaeb hai

wo phal kya hai jo har roz mile hum ko lekin hum us ka

antar dekh na paen us ki qadr na jaanen

zahir ke sadhaaran rup mein andar ka chamkila hira

jis ne bhi pahchana apne aap ko jaana

bahar se mamuli lagne wale phal ko phenk diya to

us ke andar ka hira ojhal hi rahega

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andar Ka Chamkila Hira In English By Famous Poet Krishna Mohan. Andar Ka Chamkila Hira is written by Krishna Mohan. Read famous Poem Andar Ka Chamkila Hira for youth and Student by Krishna Mohan. Free Download Andar Ka Chamkila Hira in PDF.