Zindagi Ke AaKHiri Lamhe KHushi Se Bhar Gaya
zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya
ek din itna hansa wo hanste hanste mar gaya
bujh gaya ehsas tari hai sukut-e-be-hisi
dard ka daftar gaya saman-e-shor-o-shar gaya
shaKHs-e-mamuli mera jo mal-e-wafir chhoD kar
marte marte tohmaten chand apne zimme dhar gaya
is qadar sanjida tha wo dafatan buDha hua
aur phir ek dopahar biwi ko bewa kar gaya
durdarshan par tarab aagin tamasha dekh kar
KHush hua wo is qadar mare KHushi ke mar gaya
dar haqiqat maut ka matlab to hai naql-e-makan
jis tarah kamre ke andar se koi bahar gaya
kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisa akela-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gaya
(404) Peoples Rate This