Nala-e-subh Ke Baghair Giriya-e-sham Ke Baghair
nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair
hota nahin visal-e-yar soz-e-dawam ke baghair
tu ne agar kiya na yaad shaq rahega na-murad
kaise kaTegi zindagi tere payam ke baghair
hai ye mera hi hausla karta hun roz samna
gardish-e-subh-o-sham ka gardish-e-jam ke baghair
arsa hua wo fitnagar aaya nahin kabhi idhar
suni paDi hai rah-guzar husn-e-KHiram ke baghair
kaif-e-nashat dam-ba-dam chumta hai mere qadam
chalta nahin hun ek gam aap ke nam ke baghair
jab bhi mile wo na-gahan jhum uThe hain qalb o jaan
milne mein lutf hai agar milna ho kaam ke baghair
mere junun ke faiz se garmi-e-shauq aa gai
sard thi mahfil-e-tarab mere kalam ke baghair
(373) Peoples Rate This