Mila Ek Guna Sukun Hamein Jo Tumhaare Hijr Mein Ro Liye
mila ek guna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye
zara bar-e-qalb subuk hua kai dagh dard ke dho liye
ho nashat-e-dil ki malal-e-dil hamein pesh karna jamal-e-dil
kabhi hans ke phul khila liye kabhi roke moti piro liye
hai rahin gham meri justuju ye hai kaisa gulshan-e-rang-o-bu
yahan kuchh gulo ki talash mein kai KHar main ne chubho liye
kai umr dauDte-bhagte rahe yun to shab ko bhi jagte
kabhi thak gae to Thahar gae kabhi nind aai to so liye
sabhi log mast-e-shuur hain ki KHudi ke nashshe mein chur hain
koi gham-shanas nahin yahan gham-e-dil kisi pe na kholiye
ye unhin ka nur hai jis mein hum chale hausle se qadam qadam
jo sarishk gham ke baha liye jo diye wafa ke sanjo liye
(347) Peoples Rate This