Koi Ummid Na Bar Aai Shakebai Ki
koi ummid na bar aai shakebai ki
is ne baaton mein bahut hashiya-arai ki
ishq din-raat raha kaif-o-tarab mein sarshaar
husn ne saltanat-e-ishq pe darai ki
na mila par na mila apne masail ka hal
aastanon pe bahut hum ne jabin-sai ki
aah ai soz-e-darun mere junun se ab tak
manzilen sar na huin baadiya-paimai ki
soch ka loch kabhi un ko mayassar na hua
baz logon ne faqat qafiya-paimai ki
kar-e-bekar hui bus mein safar karta hun
ye bhi ek surat-e-be-kaif hai mahngai ki
sher kahta rahun bahta rahun apni rau mein
chheD chalti rahe ehsas ki purwai ki
ek sher aur suna de ki zamane bhar mein
dhum hai tere taghazzul ki tawanai ki
tang-zarfi hai mere wahm ka Thahra pani
Thahre pani pe jami kai hai KHud-rai ki
wa daregha ki zara qadr na ki duniya ne
'krishn-mohan' tere irfan ki gahrai ki
(332) Peoples Rate This