Dil Ki Rakhna Dekh Bhaal Ai Dil-bar-e-rangin-jamal
dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal
hai bahut nazuk ye shisha is mein aa jae na baal
aarzu-mandi mein bhi mushkil-pasandi ka junun
dil usi ko chahta hai jis ka milna hai muhaal
ek faqir-e-be-nawa ne mujh ko samjhaya ye raaz
dard ki daulat ke aage hech hain mal o manal
apni kam-zarfi ka gham hai aur koi gham nahin
dil se tera gham na sambhla mujh ko hai bas ye malal
itni KHali bhi nahin duniya KHulus-e-qalb se
aa hi jate hain nazar hum aise muKHlis KHal KHal
kirshn 'mohan' taba par tari hai aisi be-hisi
ishq hai ji ka ziyan aur husn hai jaan ka wabaal
(365) Peoples Rate This