Aarzu Tadbir Ho Kar Rah Gai
aarzu tadbir ho kar rah gai
justuju taKHir ho kar rah gai
sard sannaTa musallat ho gaya
be-hisi zanjir ho kar rah gai
soch ki aawaz kitni tez hai
KHamushi taqrir ho kar rah gai
jab bhi ki tahrir apni dastan
teri hi taswir ho kar rah gai
kaT hai alfaz ki kitni shadid
guftugu shamshir ho kar rah gai
aah ye din rain ki bechain soch
jo meri taqdir ho kar rah gai
said-e-taKHrib-e-KHirad hai zindagi
hasrat-e-tamir ho kar rah gai
harf-e-sanjida thi rudad-e-KHirad
kitni be-tasir ho kar rah gai
ahd-e-hazir ki kitabi shairi
fikr ki jagir ho kar rah gai
mere fikr-o-fan ki azmat aaKHirash
shoKHi-e-tahrir ho kar rah gai
'kirshn' mohan KHwab ki tabir bhi
dard ki tafsir ho kar rah gai
(371) Peoples Rate This