Tamam Raat PaDi Thi Ki Din Nikal Aaya
tamam raat paDi thi ki din nikal aaya
abhi to aankh lagi thi ki din nikal aaya
yaqin ho puKHta to phir shab badal bhi sakti hai
ye baat us ne kahi thi ki din nikal aaya
ye moajaza bhi hamin par tamam hona tha
wo bas zara sa hansi thi ki din nikal aaya
main din nikalne ka waise bhi muntazir tha bahut
ye jaan KHwab hui thi ki din nikal aaya
sahar se pahle bhala din kahan nikalta hai
zara si baat bani thi ki din nikal aaya
zara sa dard hua tha ki dil chamak uTTha
zara si subh hui thi ki din nikal aaya
karen jo ghaur yahi hai nizam-e-qudrat 'tur'
ye raat KHatm hui thi ki din nikal aaya
(582) Peoples Rate This