Sahil Se Bich Samundar Gahra Pani
sahil se bich samundar gahra pani
ghar miTTi ghar se bahar gahra pani
ye asrar hai zahir us ke hone ka
manzar ho ya pas-manzar gahra pani
dil ko kya dekhte ho ai dekhne walo
bahar KHushki aur andar gahra pani
Dub ke hi main shayad par nikal jaun
mera kya mere andar gahra pani
waqt kab ek si haalat rahne deta hai
ho jata hai ret aksar gahra pani
aasman par chand chamakta hai KHali
niche hai poshida gauhar gahra pani
be-payan karta hun 'tur' apne ko main
ek KHali tasht mein bhar kar gahra pani
(472) Peoples Rate This