Mujh Mein Maujud Hai Jo Chaak Nahin Khulta Kuchh
mujh mein maujud hai jo chaak nahin khulta kuchh
ye mera dida-e-namnak nahin khulta kuchh
naqsh ubhrega koi ya ki nahin ubhrega
kya hai poshida tah-e-KHak nahin khulta kuchh
ye to tai hai ki ab is dil ka ziyan lazim hai
wo hai masum ki chaalak nahin khulta kuchh
muntazir kaun se main aalam-e-asbab ka hun
kya hai ab qismat-e-KHashak nahin khulta kuchh
kyun bhala us ki nishani nahin milti mujh ko
kyun bhala ghurfa-e-idrak nahin khulta kuchh
ab ye kya hai mere atraf nahin aata samajh
aur ye matla-e-pechaak nahin khulta kuchh
band kyun ashk na hon tab-e-rawan se ai 'tur'
wo bhi to surat-e-aflak nahin khulta kuchh
(416) Peoples Rate This