Jo Nahin Hai Usi Manzar Mein Bahut Hota Hai
jo nahin hai usi manzar mein bahut hota hai
ye suna hai to mere ghar mein bahut hota hai
haarna mera muqaddar hai ye sab jaante hain
shor phir kyun mere lashkar mein bahut hota hai
aise hi aati nahin ishq mein sajda-sifati
KHun ka zor qalandar mein bahut hota hai
waqt se dahr ki har chiz pe hota hai asar
kam jo dikhta hai muqaddar mein bahut hota hai
pyas bujhti hai kahan tishna-labon ki is se
pani kahne ko samundar mein bahut hota hai
kuchh karishma bhi dikhati hai lahu ki KHushbu
kuchh maza bhi hawas-e-zar mein bahut hota hai
'tur' wo chahe to sarsabz mujhe bhi kar de
moajaza dast-e-hunar-war mein bahut hota hai
(340) Peoples Rate This