Ek Tamasha Ye Bhi Jahan Mein Kar Jaana
ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana
apne badan se kisi kuen ko bhar jaana
bas ek bund lahu se sari fazilat hai
warna kab zinda rakhta hai mar jaana
us ko DhunDne mein jab bhi rang bhara
hum ne to is dil ko bhi ek manzar jaana
apne sar par KHud hi sajaana suraj ko
aur apni parchhain se KHud hi Dar jaana
KHak ko kyun chamkaya lahu ki raushni se
duniya ko kya soch samajh kar ghar jaana
ek zara si ana pe bas hum zinda hain
warna 'tur' bahut aasan hai mar jaana
(338) Peoples Rate This