Ek Khaali Chand Hi Lab-e-ju Rakhna Tha
ek KHali chand hi lab-e-ju rakhna tha
us ke hijr ka ye bhi pahlu rakhna tha
sab ka daman motiyon se bharne wale
meri aankh mein bhi ek aansu rakhna tha
suraj karna tha meri peshani ko
is miTTi mein ye bhi jadu rakhna tha
kis ki aankhen kahan ki aankhen harf huin
patthar the to KHud par qabu rakhna tha
kiya tha us ke nam ki lau ko raushan jab
dilon mein aks-e-KHiram-e-ahu rakhna tha
jab hasil la-hasil donon ek se the
phir KHud ko na asir-e-man-o-tu rakhna tha
yaad ka KHanjar utarna tha sine mein
der tak ek manzar ko KHushbu rakhna tha
ek aalam se bhar kar us ki jholi 'tur'
apni hatheli par barg-e-hu rakhna tha
(407) Peoples Rate This