Bahut Kaha Tha SuKHan-waron Mein Guzar Na Karna
bahut kaha tha suKHan-waron mein guzar na karna
bahut kaha tha ki baat sunna magar na karna
bahut kaha tha ki Dubne ka hai Dar ziyaada
bahut kaha tha ki paniyon ka safar na karna
bahut kaha tha ki tum akele na rah sakoge
bahut kaha tha ki hum ko yun dar-ba-dar na karna
bahut kaha tha wo tum ko pahchanta nahin hai
bahut kaha tha tum us ko apni KHabar na karna
bahut kaha tha ki rabton ko daraaz rakhna
bahut kaha tha mohabbaten muKHtasar na karna
bahut kaha tha ki ishq aaKHir to ishq Thahra
bahut kaha tha kisi ko is ki KHabar na karna
bahut kaha tha zamin se rishta na 'tur' TuTe
bahut kaha tha falak ko zer-e-asar na karna
(385) Peoples Rate This