KHalwat Mein KHayalon Ki Ye Anjuman-arai
KHalwat mein KHayalon ki ye anjuman-arai
aabaad hai ab kitna virana-e-tanhai
aise bhi marahil kuchh aae rah-e-hasti mein
mahsus hua manzil KHud pas chali aai
tu sham-e-masarrat hai gham-KHana-e-imkan mein
dam se tere qaem hai har bazm ki ranai
hai yaad teri kya kya mail-ba-karam mujh par
guzre hue lamhon ko jo sath liye aai
pighle hue sone se ubhrin kai taswiren
dariya ke kinaron par jab dhup utar aai
is gulshan-e-hasti ka har rang nirala hai
jab rone lagi shabnam phulon ko hansi aai
(449) Peoples Rate This