Idhar Aae To Use Pas Bula Kar Dekhen

idhar aae to use pas bula kar dekhen

haal-e-dil us ko zara aaj suna kar dekhen

bazm-e-ishrat mein jo rahti hai musalsal raushan

aaj ki raat wahi shama bujha kar dekhen

zarre zarre mein hain kitne hi manazir raushan

aap palkon ki ye chilman to uTha kar dekhen

zulmat-e-gham mein tajalli ka saman ho shayad

aaj hum apne nasheman ko jala kar dekhen

kitne aks ubhre hain aur kitne hue hain madum

dil ke aaine ko aaina dikha kar dekhen

muddaton se hai jo pahlu mein larazta saya

aaj hum is ko ujalon mein saja kar dekhen

ye bhi ek rang naya rup naya ho shayad

aaj KHud se hi zara KHud ko chhupa kar dekhen

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Aae To Use Pas Bula Kar Dekhen In English By Famous Poet Krishn Murari. Idhar Aae To Use Pas Bula Kar Dekhen is written by Krishn Murari. Read famous Poem Idhar Aae To Use Pas Bula Kar Dekhen for youth and Student by Krishn Murari. Free Download Idhar Aae To Use Pas Bula Kar Dekhen in PDF.