Zindagani Ko Fan Ke Nam Kiya
zindagani ko fan ke nam kiya
kaam karna tha main ne kaam kiya
ilm hi ki sharab pi jhuk kar
KHud ko hargiz na waqf-e-jam kiya
gham hua meri zindagi ka madar
is qadar gham ka ehtiram kiya
jaise mashuq se ho ru-e-suKHan
zindagi tujh se yun kalam kiya
KHak chhani jo fan ke sahra ki
hum ne zauq-e-junun ko aam kiya
kaamilan-e-suKHan ko paDh paDh kar
sher-goi mein kuchh to nam kiya
apne fan par na aanch aane di
umr bhar fan ka ehtiram kiya
koi manzil na thi jo sar na hui
jab bhi himmat ko tez-gam kiya
husn ko main ne TuT kar chaha
husn ke dil mein bhi qayam kiya
fan mein mujh jaisi jis ne kawish ki
main ne dil se use salam kiya
umr bhar shaeri jo ki maghmum
main ne gumnamiyon mein nam kiya
(376) Peoples Rate This