Zahiran Shad Hun Farhan Hun Hamesha Ki Tarah
zahiran shad hun farhan hun hamesha ki tarah
baatinan zar-o-pareshan hun hamesha ki tarah
dil mera barg-e-KHizan-dida ki manind sahi
main parastar-e-bahaaran hun hamesha ki tarah
meri aaankhon mein kisi ne nahin dekhe aansu
phir bhi ye sach hai ki giryan hun hamesha ki tarah
rawish-e-dahr se ranjida hun bezar nahin
rawish-e-dahr pe KHandan hun hamesha ki tarah
jaan kar bhi ki tera qurb hai ab na-mumkin
main tere qurb ka KHwahan hun hamesha ki tarah
mujh se hai un ki wahi be-ruKHi-o-be-mehri
main wahi banda-e-yaran hun hamesha ki tarah
mere anfas ki lau se nahin mahfil raushan
ek charagh-e-tah-e-daman hun hamesha ki tarah
meri masti pe na kuchh aur guman ho yaro
saz-e-dil hi pe to raqsan hun hamesha ki tarah
sar uThae na watan mein kahin mazhab ka junun
isi andeshe se larzan hun hamesha ki tarah
mujh ko aqdar-e-adab jaan se baDh kar hain aziz
hurmat-e-fan ka nigahban hun hamesha ki tarah
muztarib dida-o-dil zehn hai uljha uljha
husn se talib-e-darman hun hamesha ki tarah
aalimon aur adibon se hai milna-julna
ahl-e-daulat se gurezan hun hamesha ki tarah
mere ausaf se hoti nahin pahchan meri
apne aibon se numayan hun hamesha ki tarah
inqilabaat ke aahang hain mere naghme
barq hun aandhi hun tufan hun hamesha ki tarah
ho ke begana-e-alam zamana maghmum
main ghazal-KHwan hun ghazal-KHwan hun hamesha ki tarah
(420) Peoples Rate This