Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bdd79956a7b88a8cd016492659bf6444, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yun Dawat-e-shabab Na Do Main Nashe Mein Hun - Krishn Bihari Noor Poetry In English - Darsaal

Yun Dawat-e-shabab Na Do Main Nashe Mein Hun

yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun

ye dusri sharab na do main nashe mein hun

aisa na ho ki nashshe mein kaT jae zindagi

aankhon ko koi KHwab na do main nashe mein hun

itna bahut hai tum se nigahen mili rahen

ab bas karo sharab na do main nashe mein hun

yaro dil-o-dimagh mein kafi hai fasla

uljhe hue jawab na do main nashe mein hun

aisa na ho ki raaz tumhaara main khol dun

dekho mujhe jawab na do main nashe mein hun

daman ka hosh hai na gareban ka hosh hai

kanTon bhara gulab na do main nashe mein hun

KHud ko sambhaalna yahan mushkil hai dosto

chhalki hui sharab na do main nashe mein hun

jo lamhe 'nur' hosh mein rah kar guzar gae

un ka abhi hisab na do main nashe mein hun

(538) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Dawat-e-shabab Na Do Main Nashe Mein Hun In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Yun Dawat-e-shabab Na Do Main Nashe Mein Hun is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Yun Dawat-e-shabab Na Do Main Nashe Mein Hun for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Yun Dawat-e-shabab Na Do Main Nashe Mein Hun in PDF.