Yaro Ghar Aai Sham Chalo Mai-kade Chalen
yaro ghar aai sham chalo mai-kade chalen
yaad aa rahe hain jam chalo mai-kade chalen
dair-o-haram pe khul ke jahan baat ho sake
hai ek hi makan chalo mai-kade chalen
achchha nahin piyenge jo pina haram hai
jina na ho haram chalo mai-kade chalen
yaro jo hoga dekhenge gham se to ho najat
le kar KHuda ka nam chalo mai-kade chalen
saqi bhi hai sharab bhi aazadiyan bhi hain
sab kuchh hai intizam chalo mai-kade chalen
aisi faza mein lutf-e-ibaadat na aaega
lena hai us ka nam chalo mai-kade chalen
fursat ghamon se pana agar hai to aao 'nur'
sab ko karen salam chalo mai-kade chalen
(455) Peoples Rate This