Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5191bf346299921988b70b49f94450a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Lab Ki Jaise Saghar-e-sahba Dikhai De - Krishn Bihari Noor Poetry In English - Darsaal

Wo Lab Ki Jaise Saghar-e-sahba Dikhai De

wo lab ki jaise saghar-e-sahba dikhai de

jumbish jo ho to jam chhalakta dikhai de

dariya mein yun to hote hain qatre hi qatre sab

qatra wahi hai jis mein ki dariya dikhai de

kyun aaina kahen use patthar na kyun kahen

jis aaine mein aks na us ka dikhai de

us tishna-lab ke nind na TuTe dua karo

jis tishna-lab ko KHwab mein dariya dikhai de

kaisi ajib shart hai didar ke liye

aankhen jo band hon to wo jalwa dikhai de

kya husn hai jamal hai kya rang-rup hai

wo bhiD mein bhi jae to tanha dikhai de

(525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Lab Ki Jaise Saghar-e-sahba Dikhai De In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Wo Lab Ki Jaise Saghar-e-sahba Dikhai De is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Wo Lab Ki Jaise Saghar-e-sahba Dikhai De for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Wo Lab Ki Jaise Saghar-e-sahba Dikhai De in PDF.