Tamam Jism Hi Ghayal Tha Ghaw Aisa Tha
tamam jism hi ghayal tha ghaw aisa tha
koi na jaan saka rakh-rakhao kaisa tha
bas ek kahani hui ye paDaw aisa tha
meri chita ka bhi manzar alaw aisa tha
wo hum ko dekhta rahta tha hum taraste the
hamari chhat se wahan tak dikhaw aisa tha
kuchh aisi sansen bhi lena paDin jo bojhal thin
hawa ka chaaron taraf se dabaw aisa tha
KHaridte to KHaridar KHud bhi bik jate
tape hue khare sone ka bhaw aisa tha
hain daere mein qadam ye na ho saka mahsus
rah-e-hayat mein yaro ghumao aisa tha
koi Thahar na saka maut ke samundar tak
hayat aisi nadi thi bahaw aisa tha
bas us ki mang mein sindur bhar ke lauT aae
hamare agle janam ka chunaw aisa tha
phir is ke baad jhuke to jhuke KHuda ki taraf
tumhaari samt hamara jhukaw aisa tha
wo jis ka KHun tha wo bhi shanaKHt kar na saka
hatheliyon pe lahu ka rachaw aisa tha
zaban se kuchh na kahunga ghazal ye hazir hai
dimagh mein kai din se tanaw aisa tha
fareb de hi gaya 'nur' us nazar ka KHulus
fareb kha hi gaya main subhaw aisa tha
(608) Peoples Rate This