Ruk Gaya Aankh Se Bahta Hua Dariya Kaise
ruk gaya aankh se bahta hua dariya kaise
gham ka tufan to bahut tez tha Thahra kaise
har ghaDi tere KHayalon mein ghira rahta hun
milna chahun to milun KHud se main tanha kaise
mujh se jab tark-e-talluq ka kiya ahd to phir
muD ke meri hi taraf aap ne dekha kaise
mujh ko KHud par bhi bharosa nahin hone pata
log kar lete hain ghairon pe bharosa kaise
doston shukr karo mujh se mulaqat hui
ye na puchho ki luTi hai meri duniya kaise
dekhi honTon ki hansi zaKHm na dekhe dil ke
aap duniya ki taraf kha gae dhoka kaise
aap bhi ahl-e-KHirad ahl-e-junun the maujud
luT gae hum bhi teri bazm mein tanha kaise
is janam mein to kabhi main na udhar se guzra
teri rahon mein mere naqsh-e-kaf-e-pa kaise
aankh jis ja pe bhi paDti hai Thahar jati hai
likhna chahun to likhun tera sarapa kaise
zulfen chehre se haTa lo ki haTa dun main KHud
'nur' ke hote hue itna andhera kaise
(632) Peoples Rate This