Lakh Gham Sine Se LipTe Rahen Nagan Ki Tarah
lakh gham sine se lipTe rahen nagan ki tarah
pyar sachcha tha mahakta raha chandan ki tarah
tujh ko pahchan liya hai tujhe pa bhi lunga
ek janam aur mile gir isi jiwan ki tarah
ab koi kaise pahunch paega tere gham tak
muskurahaT ki rida Dal di chilman ki tarah
koi tahrir nahin hai jise paDh le koi
zindagi ho gai be-nam si uljhan ki tarah
jaise dharti ki kisi shai se talluq hi nahin
ho gaya pyar muqaddas tere daman ki tarah
sham jab raat ki mahfil mein qadam rakhti hai
bharti hai mang mein sindur suhagan ki tarah
muskuraate ho magar soch lo itna ai 'nur'
sud leti hai masarrat bhi mahajan ki tarah
(458) Peoples Rate This