Lafzon Ke Ye Nagine To Nikle Kamal Ke
lafzon ke ye nagine to nikle kamal ke
ghazlon ne KHud pahan liye zewar KHayal ke
aisa na ho gunah ki daldal mein ja phansun
ai meri aarzu mujhe le chal sambhaal ke
pichhle janam ki gaDhi kamai hai zindagi
sauda jo karna karna bahut dekh-bhaal ke
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain is ke pas aaine hijr-o-visal ke
ab kya hai arth-hin si pustak hai zindagi
jiwan se le gaya wo kai din nikal ke
yun zindagi se kaTta raha juDta bhi raha
bachcha khilae jaise koi man uchhaal ke
ye taj ye ajanta elora ke shahkar
afsane lag rahe hain uruj-o-zawal ke
(559) Peoples Rate This