Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun
kabhi junun to kabhi aagahi ki qaid mein hun
main apne zehn ki aawargi ki qaid mein hun
sharab mere labon ko taras rahi hogi
main rind to hun magar tishnagi ki qaid mein hun
na koi samt na jada na manzil-e-maqsud
yugon yugon se yunhi be-ruKHi ki qaid mein hun
kisi ke ruKH se jo parda uTha diya main ne
saza ye pai ki diwangi ki qaid mein hun
ye kis KHata ki saza mein hain dohri zanjiren
giraft maut ki hai zindagi ki qaid mein hun
na jaane kitni naqaben ulaTta jata hun
janm janm se main bechaargi ki qaid mein hun
yahan to parda-e-simin pe chal rahi hai film
main jis jagah hun wahan raushni ki qaid mein hun
jahan main qaid se chhuTun wahin pe mil jaana
abhi na milna abhi zindagi ki qaid mein hun
gharaz nasib mein likkhi rahi asiri hi
kisi ki qaid se chhuTa kisi ki qaid mein hun
gunah ye hai ki kyun apna nam rakha 'nur'
wo din aur aaj ka din tirgi ki qaid mein hun
(467) Peoples Rate This