Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4e5a03912e22985b3893b31b80f68c31, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka KHuda Hai Yaro - Krishn Bihari Noor Poetry In English - Darsaal

Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka KHuda Hai Yaro

jis ka koi bhi nahin us ka KHuda hai yaro

main nahin kahta kitabon mein likha hai yaro

muD ke dekhun to kidhar aur sada dun to kise

mere mazi ne mujhe chhoD diya hai yaro

is saza se to mera ji hi nahin bharta hai

zindagi kaise gunahon ki saza hai yaro

shab hai is waqt koi ghar na khula paoge

aao mai-KHane ka darwaza khula hai yaro

koi karta hai duaen to ye jal jata hai

mera jiwan kisi mandir ka diya hai yaro

main andhere mein rahun ya main ujale mein rahun

aisa lagta hai koi dekh raha hai yaro

haal ka zaKHm to mazi se bahut gahra hai

aaj zaKHmi mera saya bhi hua hai yaro

intizar aaj ke din ka tha baDi muddat se

aaj us ne mujhe diwana kaha hai yaro

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka KHuda Hai Yaro In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka KHuda Hai Yaro is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka KHuda Hai Yaro for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Jis Ka Koi Bhi Nahin Us Ka KHuda Hai Yaro in PDF.