Jagti Haqiqat Tak Rasta Hai KHwabon Ka
jagti haqiqat tak rasta hai KHwabon ka
darmiyan mere un ke fasla hai KHwabon ka
ek shab ke TukDon ke nam muKHtalif rakhe
jism-o-ruh ka bandhan silsila hai KHwabon ka
dekhen is kashakash ka iKHtitam ho kab tak
jagne ki KHwahish hai hausla hai KHwabon ka
apni apni tabiren DhunDhta hai har chehra
chehra chehra paDh lije tazkira hai KHwabon ka
nashshe ka ye aalam hai sach hi sach lage sab kuchh
zindagi ki sahba hai mai-kada hai KHwabon ka
gard-e-rah ki surat sans sans hai ai 'nur'
mir-e-karwan main hun qafila hai KHwabon ka
(396) Peoples Rate This