Jabin Ko Dar Pe Jhukana Hi Bandagi To Nahin
jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin
ye dekh meri mohabbat mein kuchh kami to nahin
hazar gham sahi dil mein magar KHushi ye hai
hamare honTon pe mangi hui hansi to nahin
miTe ye shubh to a dost tujh se baat karen
hamari pahli mulaqat aaKHiri to nahin
hui jo jashn-e-bahaaran ke nam se mansub
ye aashiyanon ke jalne ki raushni to nahin
hayat hi ke liye be-qarar hai duniya
tere firaq ka maqsad hayat hi to nahin
gham-e-habib kahan aur kahan gham-e-jaanan
musahibat hai yaqinan barabari to nahin
ye hijr-e-yar ye pabandiyan ibaadat ki
kisi KHata ki saza hai ye zindagi to nahin
tumhaari bazm mein afsana kahte Darta hun
ye sochta hun yahan koi ajnabi to nahin
(401) Peoples Rate This