Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a65ba5604c57a12fde5d92ee00662ff8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut - Krishn Bihari Noor Poetry In English - Darsaal

Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut

ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut

in dinon KHud se bichhaD jaane ka dhaDka hai bahut

raat ho din ho ki ghaflat ho ki bedari ho

us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut

tishnagi ke bhi maqamat hain kya kya yani

kabhi dariya nahin kafi kabhi qatra hai bahut

mere hathon ki lakiron ke izafe hain gawah

main ne patthar ki tarah KHud ko tarasha hai bahut

koi aaya hai zarur aur yahan Thahra bhi hai

ghar ki dahliz pe ai 'nur' ujala hai bahut

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Ek Ghazal Us Pe Likhun Dil Ka Taqaza Hai Bahut in PDF.