BichhaD Ke Tujhse Na Jite Hain Aur Na Marte Hain

bichhaD ke tujh se na jite hain aur na marte hain

ajib tarah ke bas hadse guzarte hain

zamin chhoD na paunga intizar ye hai

wo aasman se dharti pe kab utarte hain

ye kis ne khinch di sanson ki laxman-rekha

ki jism jalta hai bahar jo panw dharte hain

ye chand tare zamin aur aaftab tamam

tawaf karte hain kis ka tawaf karte hain?

hayat deti hain sansen bas ek maqam talak

phir is ke baad to bas sans sans marte hain

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BichhaD Ke Tujhse Na Jite Hain Aur Na Marte Hain In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. BichhaD Ke Tujhse Na Jite Hain Aur Na Marte Hain is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem BichhaD Ke Tujhse Na Jite Hain Aur Na Marte Hain for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download BichhaD Ke Tujhse Na Jite Hain Aur Na Marte Hain in PDF.