Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_00d8d4e5c50602386d65fc6cbfa90af3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apni Palkon Se Uske Ishaare UTha - Krishn Bihari Noor Poetry In English - Darsaal

Apni Palkon Se Uske Ishaare UTha

apni palkon se us ke ishaare uTha

us ki ungliyon se ishaare uTha

aisa lagta hai dohra raha hun main kuchh

zindagi ke purane shumare uTha

raushni ka wo kaisa ajab shor tha

is kinare hua us kinare uTha

aaKHiri hai safar wo subuk-sar chale

us ke daman se apne sitare uTha

aankh ki us badan par lakiren khinchin

har ghazal se nae istiare uTha

guftugu manzaron ki tarah khul ke ho

ab na tashbih aur istiare uTha

tera maqsad hai kya main samajh jaunga

koi mausam hi ki baat pyare uTha

rang se rang milne na pae kahin

ek ek kar ke sare nazare uTha

jhil patwar wapas na degi kabhi

apni kashti ab apne sahaare uTha

aag ke ek qalam ki siyahi laga

jo dhuan 'nur' ganga kinare uTha

(500) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Palkon Se Uske Ishaare UTha In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Apni Palkon Se Uske Ishaare UTha is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Apni Palkon Se Uske Ishaare UTha for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Apni Palkon Se Uske Ishaare UTha in PDF.