Sar-phiri Pagal Hawa Ka Tez Jhonka Aaega
sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega
hasraton ke KHushk patton ko uDa le jaega
dudhiya aakash mein kis ko sada deta hai tu
tere mazi ka parinda ab na wapas aaega
chhoTi chhoTi KHwahishon ka qatl hote dekh kar
umr ka ehsas ruKH par gard ban ke chhaega
waqt us se chhin lega KHud-pasandi ka ghurur
han yaqinan wo KHuda ban kar bahut pachhtaega
wo hai sar-ta-pa mujassam ek francisi sharab
nashsha ban kar jism us ka zehn par bhi chhaega
KHwahishon ke jangalon mein lazzaton ke peD hain
jin ke sae mein musafir der tak sustaega
aap apni aag mein hum hath tapenge 'adib'
jab december sath apne barf-bari laega
(532) Peoples Rate This