Madrasa Aawargi Aur Hath Mein Basta Na Tha
madrasa aawargi aur hath mein basta na tha
jo kitabon mein hai likha us ko wo paDhta na tha
yun to darwaze khule the sare us ke waste
wo musafir raston ka ek ja Thahra na tha
jo sunata tha kabhi aab-e-rawan ki dastan
us ke honTon ka muqaddar os ka qatra na tha
tishnagi hi tishnagi thi aur sahra ke sarab
aankh pani par thi lekin samne dariya na tha
chhoD aaya tha jise main KHud ana ke zoam mein
phir palaT kar us ko main ne umr bhar dekha na tha
mere hathon mein hai KHushbu us ke hathon ki 'adib'
jism jis ka chhu ke main ne aaj tak dekha na tha
(424) Peoples Rate This