Dhima Dhima Dard Suhana Hum Ko Achchha Lagta Tha
dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha
dukhte ji ko aur dukhana hum ko achchha lagta tha
zaKHm ko apne phul samajhna moti kahna ashkon ko
ishq ka karobar sajaana hum ko achchha lagta tha
din din bhar aawara phirna ek hamari aadat thi
raat gae ghar luT ke aana hum ko achchha lagta tha
baiTh ke yaron ki mahfil mein pite rahna der talak
apne-ap ko bhul hi jaana hum ko achchha lagta tha
chup chup rahna aahen bharna kuchh na kahna logon se
tanha tanha ashk bahana hum ko achchha lagta tha
shaKH se TuTe sukhe patte tez hawa ke shanon par
shahron shahron KHak uDana hum ko achchha lagta tha
shahr-e-gham ki ek udasi dil mein har-dam rahti thi
diwaron se sar Takrana hum ko achchha lagta tha
gul-badanon ko takte rahna baaten karna KHushbu ki
nigah-e-gul ka qarz chukana hum ko achchha lagta tha
nashsha-e-gham ki sarshaari bhi kam to nahin thi phir bhi 'adib'
talKHi-e-mai mein zahr milana hum ko achchha lagta tha
(481) Peoples Rate This