Nisf Se Dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha
nisf se dekh zara kam na ziyaada aadha
banT lete hain mohabbat tujhe aadha aadha
mehrban ishq mujhe kaT diya jaega
hone wala hai mera dast-e-kushada aadha
chauk mein dekhne wale the tamasha us ka
jis ko ghurbat mein mayassar tha labaada aadha
mere behis main tujhe milne nahin aaungi
aaj taqsim hua mera irada aadha
kuza-gar mujh ko bikharna hai bikhar jaane de
meri tajsim mein shamil hai burada aadha
teri duniya bhi meri tarah ujaD jaegi
rah gaya mujh mein agar sabr ka madda aadha
baqi aadhi to kisi aur ki muTThi mein dabi
pusht par main ne tujhe zist hai lada aadha
(1238) Peoples Rate This