Ai Rasm-e-baghawat Ke Giraftar Sipahi
ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi
likkhi thi tere baKHt mein ye haar sipahi
us taj ke aur taKHt ke dushman hain hazaron
mamur hifazat pe hain do-chaar sipahi
ek tasht mein rakkhi hui farman-rawai
ek tasht mein hain dirham-o-dinar sipahi
malka hun mahal ki main mera hukm-e-mohabbat
auqat kahan teri ki inkar sipahi
kuchh waqt ki qurbat ke liye lauT raha hai
tanKHwah mein chhuTTi ka talabgar sipahi
zindan ki diwar pe likkhe rahe nauhe
zanjir paTaKHta raha bimar sipahi
KHat chum ke aankhon se lagate hue 'komal'
roya tha bahut TuT ke har bar sipahi
(940) Peoples Rate This