Kutte Aur KHargosh
do KHargosh the pyare pyare
ek moti ek hira
moti kale kanon wala
hira bhura bhura
do kutton ne dekha un ko
chain se yun jo baiTha
munh mein ek ke pani aaya
dusra fauran lapka
chain se kone mein baiThe the
sochte the ki jaen
samne ke kheton se do ek
gajaren toD ke laen
bhage sarpaT dekh ke kutte
donon hi KHargosh
maut nazar aati thi un ko
aur na tha kuchh hosh
bhagte bhagte hira bola
ye kutte hain shikari
moti bola tum pagal ho
aql KHarab tumhaari
hire ko ghussa phir aaya
phula ke dum wo bola
tum ne mujh ko kya samjha hai
kar dun tum ko sidha
idhar wo aapas mein laDte the
udhar wo kutte pahunche
donon KHargoshon ki jaanib
donon kutte lapke
KHargoshon ne bahs mein paD ke
hae jaan ganwai
sach hai baad mein pachhtane se
kis ne izzat pai
(927) Peoples Rate This