ChiDiya Aur Koyal
moTa sa ek baje wala
chalta chalta jangal aaya
jangal mein koyal rahti thi
pinjre mein band wo baiThi thi
baje ko dekh ke chahki wo
muddat ke baad hi boli wo
tu baja baja main gaungi
naghme main achchhe sunaungi
koyal ne yun gana gaya
baje wala bhi mast hua
thi pas hi ek chiDiya baiThi
gana sun ke wo kahne lagi
koyal-bi tum ko hai aata
kitna achchha gana gana
aawaz tumhaari pyari hai
sari duniya se nyari hai
tum KHud hi git banati ho
tum KHud hi achchha gati ho
tum kyun is baje wale ko
kahti ho saz bajaane ko
phir ek din ye baje wala
har ek se ye kahta hoga
main ne hi ja kar sikhlaya
koyal ko bhi gana gana
meri mano ek kaam karo
tum raushan apna nam karo
pinjre se nikal bahar aao
tum Dali Dali KHud gao
ye sun ke koyal bhi hans di
chiDiya se phir wo yun boli
kya koi hunar bhi bin sikhe
aata hai kisi ko chupke se
jab mashq nahin karta koi
mahir nahin ban sakta koi
jis ne kiya apne fan ko yaad
aaKHir wahi kahlaya ustad
(969) Peoples Rate This