Aankh-micholi
bandar chuha aur KHargosh
hanste hanste the behosh
pas thi ek gilahri bhi
thi chuhe se moTi bhi
aur kutta tha munh khole
Tangon mein tha nekar pahne
sab se baDi thi lomDi
thi us ki moTi khopaDi
ye sab hi pyar se rahte the
sab nachte gate hanste the
ek din wo bole KHush ho ke
hum aankh-micholi khelenge
jo pakDa jae chor bane
us ki aaankhon pe paTTi bandhe
jo bhi pakDa na jaega
aaKHir raja kahlaega
pahle kutte ki bai thi
us ki sab se hi yar thi
us ne socha kis ko pakDun
aaKHir main kis ko chor kahun
itne mein bola bandar bhi
aae hain miyan-chhachhundar bhi
kahte hain main bhi khelunga
main aaKHir sab ko pakDunga
kutte ne kaha aane do ise
han chor zara banne do ise
ye sun ke shaiKHi mein aa ke
KHud aap chhachhundar ne baDh ke
kutte se kaha mujh ko pakDo
mere munh pe paTTi bandho
main har ek ko pakDunga
aaKHir raja kahlaunga
ahmaq the miyan chhachhundar bhi
paDhte the antar-mantar bhi
koi bhi hath na aata tha
koi bhi chor na banta tha
thak thak ke haal KHarab hua
lekin na koi kisi ko hath laga
achchha nahin shaiKHi mein aana
achchha nahin hota itrana
(858) Peoples Rate This