Qaid Mein Raqs

sab ke liye na-pasandida uDti makkhi

kitni aazadi se mere munh aur mere hathon par baiThti hai

aur is roz-marra se aazad hai jis mein main qaid hun

main to subh ko ghar bhar ki KHak sameTti jati hun

aur mera chehra KHak pahanta jata hai

dopahar ko dhup aur chulhe ki aag

ye donon mil kar war karti hain

gardan pe chhuri aur angara aankhen

ye mera sham ka roz-marra hai

raat bhar shauhar ki KHwahish ki mashaqqat

meri nind hai

mera andar tumhaara zahr

har tin mahine baad nikal phenkta hai

tum bap nahin ban sake

mera bhi ji nahin karta ki tum mere bachche ke bap bano

mera badan meri KHwahish ka ehtiram karta hai

main apne nilo nil badan se pyar karti hun

magar mujhe makkhi jitni aazadi bhi tum kahan de sakoge

tum ne aurat ko makkhi bana kar botal mein band karna sikha hai

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaid Mein Raqs In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Qaid Mein Raqs is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Qaid Mein Raqs for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Qaid Mein Raqs in PDF.